*Apne andaishoun ki baraat dikhaatay kis ko
Tum hi jab bhool gaye tau yaad aatay kis ko
Uth gaye khud hi dekha tau faqat ghair thay hum
Aashna thay sabhi mehfil se uthaatay kis ko
Kuch muyassar na huwa apne hi zakhmoon ke siwa
Muskuratay huwe khwaboon mein sajaatay kis ko
Hum bhataktay hi rahe shehar ke weeranoon mein
Apni tanhai ka ehsaas dilaatay kis ko …*