tum ghamoun ko aangan mein abaad nhi krna

tum ghamoun ko aangan mein abaad nhi krna khushioun se bhara aangan barbaad nhi krna

punchi to hawaoun mein azaad hi urta hai
pinjray ke band punchie azaad nhi krna

beakar umeedoun per beakar se wadoun per
tum zindagi youn apni barbaad nhi krna

jab bichar jay koi ya loat kay na aay
tab tootay huway dil ko na shaad nhi krna

duniya ka chalan hai ye dill tor ke hanstie hai
is duniya ke aagay tum feryaad nhi krna