Saath beetay huwe lamhaat bahut yaad aaye
Haan woh bikhray huwe zar’raat bahut yaad aaye
Bhoolna chahain tu har baat bhula dain lekin
Yaad aaye hai tu har baat bahut yaad aaye
Jin khayaloon se mera jism mehak uth’ta thaa
Woh machalate huwe jazbaat bahut yaad aaye
Tum bhi na bhool sake hoge woh lamhay janaan
Mujh ko bhi pehli mulakaat bahut yaad aaye
Jab bhi shehnaee ki awaaz suni kaanoo ne
Woh mere mehndi lage haath bahut yaad aaye
Jo mere ho ke bhi apna na sake thay mujhko
Phir dostoo wohi halaat bahut yaad aaye
Re: Tum bhi na bhool sake hoge woh lamhay janaan
very beautiful
:k:
Swera
4
Re: Tum bhi na bhool sake hoge woh lamhay janaan
[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *
Saath beetay huwe lamhaat bahut yaad aaye
Haan woh bikhray huwe zar'raat bahut yaad aaye
Bhoolna chahain tu har baat bhula dain lekin
Yaad aaye hai tu har baat bahut yaad aaye
[/QUOTE]
good1...:)
Re: Tum bhi na bhool sake hoge woh lamhay janaan
Amazing…I loved it :k:
Wah .. Zabardast....:biggthumb