Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se...

**
tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyada nasib se

goya tumhari yad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhara tabib se

barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
vo bhi to tum ne chhin liya mujh garib se

dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
a pas a, ke dekh lu tujh ko qarib se**

Re: Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se...

nice sharing :)

Re: Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se...

nice