Zara Dekho…
tumharay bin ye rastay aur ye galiyan
baree barbad lagtee hain
tumharee rah taktee shabname ankhain
bhi ab nashaad lagtee hain
Tumharay chahnay walay
Tumharee rah taktay hain
tumhee ko yaad kartay hain
tumharay dum say jin kochon mein
baharain raqs kartee theen
khushee k rang bhartee theen
unhe kochon mein ab dekho
na ronaq hai na melaa hai
jisay dekho akiala hai
tumhain kho kar humhin dekho
zanjer-e-ghum nay jakra hai
kaee khadshon nay aa kar basabab
he hath pakra hai
Humain aa kar sabhee khadshon say
tum aazaad kar do na
tum har fun k mahir ho
khushi ka tum koi lamha
phir Aijaad kar do na
ye galiyan aur ye rastay
tumhain kho k azurda hain
Tum aoo na!!!
Inhain abaad kar do na
Humain aa kar sabhee khadshon say
tum aazaad kar do na
tum har fun k mahir ho
khushi ka tum koi lamha
phir Aijaad kar do na
ye galiyan aur ye rastay
tumhain kho k azurda hain
Tum aoo na!!!
Inhain abaad kar do na