tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

dekhey thay khaab tumharay zaroor magar aye humdum suno zara
tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

jo dil ka meet ik baar banay wo dil kay paas hi raha karey
jisay faasloN sey khoof ho usay door jaa ke sadaa na do

koi humsafar gar raah neiN bhaley manzil apni badal bhi le
to dil sey usko bhulao mat nazar sey us ko giraa na do

jo azeez rakhey tumhay jaan sey usay berukhi sey thukrao mat
koi khaab bunay gar pyar say to khaak meiN usey mila na do

koi paas aye to milo usey koi dil ki kahay to suno usay
gar iQraar karey koi pyaar ka to haNsi meiN usko urra na do

waqt ke haathoN haar kar jo phir raha ho dar-badar
jisy justuju ho moat ki usey zindagi ki duwa na do

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

:bb: Very Nice..

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

I liked the third and fourth sher… :k:

this sher:

waqt ke haathoN haar kar jo phir raha ho dar-badar
jisy justuju ho moat ki usey zindagi ki duwa na do

**
reminds me of Iqbal’s

Maut ko samjhaY haiN ghaafiL, ikhtetaam-e-Zindagi
Hai yeh shaam-e-Zindagi, Subha-e-Dawaam-e-Zindagi

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

Bhoat Awesome Ghazal hai Shaab…
:sara:

*

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

Beautiful.. thx for sharing Shabbb :flower1:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do


***
**waah ji shab! aap toh bass chhaa gayee haen. this is really great **
*

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

**Bohat Khoob :(** **Bas ik zara see baat thee lakin tamaam umar** **wo mujh ko jagnay ke saza day kay so gaya ** *

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

Its beautiful SHAB :rose:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

bohat hi acha shair hai TUM_BIN jee.

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

Thank you :)

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

**jo azeez rakhey tumhay jaan sey usay berukhi sey thukrao mat
koi khaab bunay gar pyar say to khaak meiN usey mila na do

wah! great poem :rose:**

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

nice one SHAB JEE.

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

bohot khoob shab :k:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

very nice :k:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

:cb: shab aur wo bhee hijar waali, chaana tau hay

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

*um aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

wohi na wo aisa keoN kartey :( nice sharing :)
*

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

:halo:
apko bus yehi dekha baqi ghazal nahi dekhi :smash:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

woh kon hai bus ek bar naam bata dain :soldier:

Re: tum aik jurm kay waastay mujhay baar baar sazaa na do

very nice shab :lajawab: