Ae Allah, ho bhi nahin aur har jaa ho
Tum aik gorakh dhanda ho
Hairaan hoon is baat pay tum kaun ho kya ho
Haath aao to butt, na aao to khuda ho
Har zarray mein kis shaan say tu jalwa numaa hai
Hairaan hai phir bhi aqal kaisa hai tu kya hai
Tujhay dair o haram mein dhoonda tu nahin milta
Magar tashreef farma tujh ko apnay dil mein dekha hai
Pata yoon to bata detay ho sab ko “laa makaan” apna
Taajub hai magar rehtay ho tum tootay huay dil mein
Dhoonday nahin milay ho, na dhoonday say kaheen tum
Aur phir yeh tamasha hai jahaan hum hein waheen tum
Jab bajuz teray koi doosra maujood nahin
Phir samajh mein nahin aata tera parda karna
Aqal mein jo ghir gaya woh laa intiha kiyoonkar hua
Jo samajh mein aagaya woh Khuda kiyoonkar hua
Khud Hi Apna Parda Ho
Tum Aik Gorakh Dhanda Ho