Tum agar choot gaye tou kya hoga
Sapnay agar toot gaye tou kya hoga
Abhi tou milnay ki fursatain hain bohat
Yeh lamhay gar rooth gaye tou kya hoga
Hamsafar agar saath hai tou itna samajh lo
Yeh rastay gar choot gaye tou kya hoga
So bar toot kar bhi simatnay ko chalay ho
Who lamhay gar palat gaye tou kya hoga
Ab socha hai maazi ka koi khuab na dekhoon
Safhay agar ulat gaye tou kya hoga
*
Allah na karay asa hoo.... magar kuch hoota nahi
**
Badal saka na judai kay ghum utha kar behi
Ka main tu main he raha tum say door jaa kar behi**
:k: