Tum agar bikhar jao

**Tum agar bikhar jao
Bebasi me ghir jao
Dil se ik Sada daina
Bus muje bula lena
Main tumhain sambhalon ga
Zindagi main chalne ka
Rasta badalne ka
Ik Hunar Sikha Doon ga
Tumko Hosla Doon ga
or Jab tum Sambhal jao
Roshni main Dhal jao

Muj ko yeh Sila daina
TUM MUJE BHULA DAINA…!**

Re: Tum agar bikhar jao

so sad:bummer:

Re: Tum agar bikhar jao

Umda nazm hey Babri :k:

Re: Tum agar bikhar jao

yaani sab aap ki marzi say hi hona chahiye :smiley:

Nice Poem.. :k:

How are you ?

Re: Tum agar bikhar jao

humari marzi se to aaj tak tinka nahi hila ye sab kahan se ho ga.:(.kheir i am fine ALLAH pak ka karam hai wo jis haal main rakhey.ap sunao.will pm you wanna ask some thing.
aur pasand karne ka shukariya.

Re: Tum agar bikhar jao

Good One Babri..:k: