*
Jo adhoori reh gaee theen kahaani sochna
Baith kar tanha faqat baatain puraani sochna
Jab kisi Saahil pe aa jaye meri yaad tumhein
Kyun jazeeron ki taraf rehta hai paani sochna
Tum agar bicharne per khush ho tu yun hi sahi
Baith kar tanha faqat shaamain puraani sochna
Jab kabhi likhna kahaani zeest ke mauzu pe tum
Kyun badal jatay hain lafzoon ke ma'eni sochna ...
Re: ~~ Tum agar bicharne per khush ho tu yun hi sahi ~~
very nice
Re: ~~ Tum agar bicharne per khush ho tu yun hi sahi ~~
Wah wah wah boht khubb zawanfira
Re: ~~ Tum agar bicharne per khush ho tu yun hi sahi ~~
yaho to ronna hay kah logoon nay Sochna chor dia hay :hinna:
Thank you all ...