A Saddish Poem for Eid..
Hasrat Hay Tumhari Deed Karain
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain
Kuch Roz Tu Dil Ko Chain Milay
Kuch Roz Tu Munn Ka Phool Khilay
Kehtay Hain Eid Ki Aamad Hay
Hum Log Bhi Ta’eed Karain
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain
Tum Say Yeh Aik Guzarish Hay
Yeh Apnay Dil Ki Khuwaish Hay
Ek Bar Milo Ek Bar Milo
Har Bar Yehi Ta’eed Karain
Tum Aao Tu Hum Eid Karain
Jab Ghum Ke Badal Chaye Thay
Uss Waqt Bhi Tum Na Aye Thay
Iss Bar Bhi Tum Nahin Aye Ho
Sab Dushman Yeh Tanqeed Karain
Tum Aao Tu Hum Eid Kariain
Mana Ke Hum Dewanay Hain
Sab Batoon Say Anjanay Hain
Jab Apnay Hi Bayganay Hain
Kya Ghero’n Say Umeed Karain
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain
Umeed Hai Aap Logon Ko Pasand Aye Gi..
Regards,
PS: Ye mainay Eid Poetry Ke Thread Main Iss Leay Post Nahi Ki Kion Ke Mujhe Laga Wahan Sirf Eid Se Related Dua’ia aur Fun Oriented Poems Share Kerni Chaheay.. Sorry.. Hope K Mind Nahi Karain Ge..
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
very nice poem :k:
hum bhi dua kartay hain jis ko bula rahay hain woh ajaye 
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
to phir kab arahay ho aap ?? 
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
ap mujhay bula rhay thay :aq:
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
:k:
Kadee sanu ve daawat day … asii tay karachi ich rahndey aan 
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
kia kahon 
–
–
–
–
Nahi.. aapko aisa laga 
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
aap to already karachi main hain na.. 
wese u r most welcome.. kahan hotay hain aap karachi main 
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
aap to already karachi main hain na.. :)
wese u r most welcome.. kahan hotay hain aap karachi main :)
I Live in N.Nazimabad ....
we r going to arrange guppy meet on saturday Our Chief guest is **lone ranger* ( Ayaaz Bhai ) from Dubai * u can come if u want :~)
Re: Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain..
hain wakai.. :D
kahan arange ker rahay hain ?? KFC main?? kon kon aye ga?? mujhe koi janta he nahi hoga :(