Tujhey haarnay waaley

Kaasa e deed main bus ik jhalak ka sikka
hum faqeeron ki qana’at se tujhe dekhte hain

Tujh ko kia ilm ke tujhe haarne wale kuch log
kis qadar sakht nadaamat se tujhe dekhte hain

Re: Tujhey haarnay waaley

nadamat se kion ?

Re: Tujhey haarnay waaley

Paa na sakey iss liey

Re: Tujhey haarnay waaley

qismat ki baat hy
us per sabar kerna chahiay :snooty:

Re: Tujhey haarnay waaley

Kisi ko hum na milay ..humko tu na mila :P

Re: Tujhey haarnay waaley

*vo jidhar dekh rahe haiN ham udhar dekh rahe haiN
ham to bas dekhnewaaloN kii nazar dekh rahe haiN *
:)

Re: Tujhey haarnay waaley

behtreen

Re: Tujhey haarnay waaley

Cameray ki aankh aap ko dekh rahi hai ...Mushtari hoshiyaar baash :p

Re: Tujhey haarnay waaley

oops! shikaari Khud jaal meN phaNs gayaa! vaise, yeh Bi Mushtari kaun haiN? :hmmm:

:cb: ab to ghabraa ke yeh kahte haiN k:
**
vo jise chaah rahe haiN haiN, sab use chaah rahe haiN
ham to bas chaahnewaaloN ko hii bas chaah rahe haiN!**

aisaa kaisaa rahegaa? :smiley:

Re: Tujhey haarnay waaley

Ye tou ziyadatti hai na chahnay walon kay saath

Re: Tujhey haarnay waaley

chahnay walon k sath hamesha ziadti hi hoti hai