Re: Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
[QUOTE]
*Originally posted by *** Vivacious ***: *
Wo bara raheem-o-kareem hai, mujhey ye sift bhi ata keray
Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
Kabhi din ki dhoop main jhoom kay kabhi shub kay phoolooN ko choom kay
Yoonhi saath saath chalain sada, kabhi khatum apna safer na ho
Meray paas meray habeeb aa, zara aur dil kay kareeb aa
Tujhey dhurkanoon main basa loon mae kay bichurney ka kabhi dur na ho..
[/QUOTE]
Hmmm...aaj kal Bashir Badr ko khoob parrha
jaa raha hey:)...Why didn't you post the full ghazal?
Re: Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
[QUOTE] Originally posted by ** Vivacious ***: *
Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
[/QUOTE]
Sirf parrhnay say bhi aankh pur'num hay, sunna hay shadeed dua karain gay keh 1000 bar zindagi milay our her baar shaheed hon ... kia ajeeb si baat hay, yeh dil e natawaan humara jiss main dharraknay ka hossla bhi nahi ... khwahish bhi karta hay to kia, keh azal say abad hoon qayd aik dairay main, her pal main ho zindagi our her zindai main hum ussi kay assar main rahain.
Re: Re: Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
[QUOTE]
*Originally posted by Amal: *
Hmmm...aaj kal Bashir Badr ko khoob parrha
jaa raha hey:)...Why didn't you post the full ghazal?
[/QUOTE]
nahi, main tu sub ko hi parhti hoon.......... lakin mujhey Amjad islam Amjad aur parveen shakir bohat pasand hain.. waisey muhey nahi pata tha k ye ghazal aadhi hai.... :) meray paas pori nahi hai... :)
Re: Re: Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Sirf parrhnay say bhi aankh pur'num hay, sunna hay shadeed dua karain gay keh 1000 bar zindagi milay our her baar shaheed hon ... kia ajeeb si baat hay, yeh dil e natawaan humara jiss main dharraknay ka hossla bhi nahi ... khwahish bhi karta hay to kia, keh azal say abad hoon qayd aik dairay main, her pal main ho zindagi our her zindai main hum ussi kay assar main rahain.
[/QUOTE]
Azad jee bohat acha.... kiya he acha hoota agar ya sub aap shahari main likhtay....
Re: Re: Tujhey bhoolney ki dua karoon tu meri dua main aser na ho
aap ka dil aisi khwahish kerta hi kiyon hai?? Allah aap ko hameesha khusk rakhey… aur aap ki tamaam khwahishayn issi zindigi main poori ho jaien… Ameen sum ameen