**main ne dil se kaha **
aye deevaane bata
jab se koi mila
tu hai khoya hua
ye kahaani hai kya
hai ye kya silsilaa
aye deevaane bata
**main ne dil se kaha **
aye deevaane bata
dhadkanon mein chupi
kaisi aawaaz hai
kaisa ye geet hai
kaisa ye saaz hai
kaisi ye baat hai
kaisa ye raaz hai
aye deevaane bata
**mere dil ne kaha **
jab se koi mila
chaand taare fizaa
phool bhaunre hawa
ye haseen vaadiyaan
neela ye aasamaan
sab hai jaise naya
mere dil ne kaha