Tujhe kya khabar ke hum khush hain ke ranjeeda hain
Hamaari khamosheyoon mein kitne raaz posheeda hain
Kabhi hamari ankhoon mein jhank kar jo dekho
Shayad mile khabar ke hum kitne namdeeda hain
Tere firaq ke dozakh mein jal raheen hain
Jannat ke raastay bahut pecheeda hain
Koi tu hamaara bhi haal-e-dil likhay
Majnoon ke qissay bahut boseeda hain
Lamhay
2
bahut khoob is it ur own?
[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
bahut khoob is it ur own?
[/QUOTE]
Jinhein pyar karne ka saleqa na aata ho unhein bhala lafzoo ka kamaal kahan se asakta hai !
Thanks for your appreciation Lamhay !
Lamhay
4
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Jinhein pyar karne ka saleqa na aata ho unhein bhala lafzoo ka kamaal kahan se asakta hai !
Thanks for your appreciation Lamhay !
[/QUOTE]
well pyar main saleeka nahin pyar main sincere hona lazim hota hai aur ye hunar tu kisi kisi ko naseeb hota hai !
ur always welcome !
Re: Tujhe kya khabar !!!
wow lovely:k: … stuff u n lamhay cum up with is soo beauutiful:k: :k: 