Tujhe khoob ye hunar he .. mujhe paash paash karna !

mera saans rokna phir .. mere dil ki laash karna
tujhe khoob ye hunar hai .. mujhe paash paash karna

ae tabeeb ! mangta hi main raha wafa ka marham
tera kaam bas jalaana .. mera dil kharaash karna

hai ajeeb teri ulfat .. teri la ubaliyaan bhi
mere raaz sun ke mujhse .. mere raaz faash karna

teri bijliyaan jafa ki.. mere dil pe gir chuki hain
mein to khaak ho chuka hooN na mujhe talaash karna

tere wasl ki tamanna .. meri aarzo-e qurbat
howa kargar na Sagar .. tera kaash kaash karna


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

Very very good choice.

bahut achi hai!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Bohat khoob Lamhay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Amazing!

Who's the poet?

Buhat khoob

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


Owner of Mehkama-e-Sharafat
ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez

[quote]
Originally posted by Aalhan:
Amazing!

Who's the poet?

[/quote]

Anonymous !

thanks pakbeast,Hum hain, Amal ,Aalhan and sunny boy!

zabardastttttttt

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Beautiful Lamhay:~)

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/flower1.gif


~DuniyaaN ki Mehfilon se ukta geya huun Ya-Rab
kya Lutf anjuman ka jab DiL hi bujh geya ho~
~
~kya Nazar dain jo koi Naie ArZoO karain
DiL mey tou Tootne kie bhie Himmat nahin rahi~

URS POEM IS VERY GOOD,…!!!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/nah.gif


Rabia Chaudhry

tere wasl ki tamanna .. meri aarzo-e qurbat
howa kargar na Sagar .. tera kaash kaash karna

Excellent...

I know I've commented on
it already, but couldn't
resist re-reading it.

mera saans rokna phir .. mere dil ki laash karna
tujhe khoob ye hunar hai .. mujhe paash paash karna

Whoever the poet may be
the words speak out to
the reader. Marvelous!

Wah zabardast ghazal hai lamhay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Re: Tujhe khoob ye hunar he .. mujhe paash paash karna !

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
**mera saans rokna phir .. mere dil ki laash karna
tujhe khoob ye hunar hai .. mujhe paash paash karna

ae tabeeb ! mangta hi main raha wafa ka marham
tera kaam bas jalaana .. mera dil kharaash karna

hai ajeeb teri ulfat .. teri la ubaliyaan bhi
mere raaz sun ke mujhse .. mere raaz faash karna

teri bijliyaan jafa ki.. mere dil pe gir chuki hain
mein to khaak ho chuka hooN na mujhe talaash karna

tere wasl ki tamanna .. meri aarzo-e qurbat
howa kargar na Sagar .. tera kaash kaash karna


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..! **
[/QUOTE]

Wah g wah bohat khoob ....
maza aagaya ..
Lamhay !
Aap ki ajazat say iss gazal ka urdu version main nay img gal. main post kiya hay

Re: Re: Tujhe khoob ye hunar he .. mujhe paash paash karna !

[QUOTE]
Originally posted by Pehalwan: *
*

Wah g wah bohat khoob ....
maza aagaya ..
Lamhay !
Aap ki ajazat say iss gazal ka urdu version main nay img gal. main post kiya hay **
[/QUOTE]

Ijazaat say main nay kab ijazaat di aur ap nay kab pocha ijazat mangi thee pehalwan g?

Lamhay jee humesha ki tarha bohot khoob....:)

[QUOTE]
*Originally posted by Nayab: *
Lamhay jee humesha ki tarha bohot khoob....:)
[/QUOTE]

thanks nayab !

good..
bohut khoob

Re: Tujhe khoob ye hunar he .. mujhe paash paash karna !

tere wasl ki tamanna .. meri aarzo-e qurbat
howa kargar na Sagar .. tera kaash kaash karna

zabardast....... kya kehne