tujhay yaad hay...

Mai hoon jis makaaN ki chhatt talay
mera ghar nahi
tera naam darj hay jiss jagah
tera dar nahi

tujhay yaad hay!
tujhay yaad hay kisi shaam ham nay banaaya tha
kahin aik chotta sa rait ghar
ussi rait say, ussi rait par
(ussi rat par
jo thi raah mai kisi moj kay
kabhi apnay honay kay dheyaan mai
kabhi mu’jizon kay gumaan mai)

hamay ilm tha,
hamay ilm tha keh woh rait-ghar
jo thay muntazir kisi moj kay
unhay toot jaanay say roknay ka khayaal amr-e-mahaal hay
issi moj-o-raig kay khail say hi bahaal hay
woh talaazma,
wohi raabta, jissay maan-nay kay fishaar mai
rah-e-aagahi kay saraab bhi
sabhi khuwaab bhi
issi aik lamha-e-mukhtasir kay hisaar mai hay ghira huwa
khatt-e-raig bhi, kaff-e-aab bhi

pay yay daastaaN,
to thi tarjumaaN, kisi khail ki
ussi khail ki
jissay khailtay hamay aa liya kisi raat nay
ussi raat nay
jissay apnay khooN say jawaaN kiya
meray shoq nay, teray saath nay
kisi an-chuway say khayaal nay
kisi door hoti si baat nay

tujhay yaad hay, mujhay yaad hay,
woh jo baat ki barri dair tak
meray haath say, teray haath nay!

kahaan tha gumaaN, kissay thi khabar!
jo kaha tha shoq ki lehar nay
jo likha tha rait ki loh par
ussi aik shaam ka khail tha
ussi aik pal ka jamaal tha
ussi khail mai
ussi shaam ko

woh jo rait-ghar say bikhar gaey
woh jo aik pal mai ujarr gaey
meray khuwaab thay!
teray khuwaab thay!

A.I.A

Haya that was a GREAT GREAT GREAT nazam!!! Thanks for sharing it.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/tweetie.gif


~ Mehshar mein le gayi thi, tabiyat ki saadgi
Lekin bare khuloos se hum laut aaye hain…

buhat achay
thanks 4 sharin


**zamiiR_e_sadaf mein kiran kaa mauqaam
anokhe anokhe thikaane tere

Nice .,...


سكورپین کنگ
§©ö®Þïoñ_kîñg

Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !

very nice indeed

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


MeiN pal do pal ka shaaer hooN…

Re: tujhay yaad hay...

worth another read...

Re: tujhay yaad hay…

Buhat khoob…nice collection..thanx for sharing :flower1:

Re: tujhay yaad hay...

beautiful nazm :) thanks for sharing hayaa baji

Re: tujhay yaad hay...

very nice :)