"dard agar had say guzar jata to acha tha.
main aik hi baar agar mar jata to acha tha.
nazroon k mafhoom ko hum samajh na paye.
woh dil ki baat mujhay khod sunata to acha tha.
phir us ki mahak ko hum dar_o_diwar main patay.
woh aik baar meray ghar a jata to acha tha.
ab yaad karun usay to kuch yaad nahi ata.
woh yun meray dil say na jata to acha tha.
tanhai bhi tang a kar ab mujhay yeh kheti hai.
tujhay meray siwa koi aor mil jata to acha tha.
parakhnay say jo apna tha woh bhi ajnabi sa laga.
main agar zamanay ko yun na azmata to acha tha.