Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…
mairay bay-khabar tujhay kiya patta
teri aarzuoon kay dosh per teri kaifiyyat kay jaam main mai jo kitni sadyon say qaid hoon teray naqsh mai tairay naam main mairay khuwaab meri kahaaniyaan mairay laikh ki yeh nishaaniyaan teri chaah mai hay ruki huwi kabhi aansuoon ki qataar mai kabhi patheron kay hisaar main kabhi dasht-e-hijr ki raat main kabhi bad-naseebi ki ghaat main kai rang dhoop say jall gaey kai chaand shaakh say dhal gaey kai tan sulag kay pighal gaey teri ulfaton kay qayaam main teray dard kay der-o-baam mai koi kab say sabt-e-saleeb hay tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…
one of ma fav and me ko sab pata hia :p