tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

mairay bay-khabar tujhay kiya patta
teri aarzuoon kay dosh per
teri kaifiyyat kay jaam main
mai jo kitni sadyon say qaid hoon
teray naqsh mai tairay naam main
mairay khuwaab meri kahaaniyaan
mairay laikh ki yeh nishaaniyaan
teri chaah mai hay ruki huwi
kabhi aansuoon ki qataar mai
kabhi patheron kay hisaar main
kabhi dasht-e-hijr ki raat main
kabhi bad-naseebi ki ghaat main
kai rang dhoop say jall gaey
kai chaand shaakh say dhal gaey
kai tan sulag kay pighal gaey
teri ulfaton kay qayaam main
teray dard kay der-o-baam mai
koi kab say sabt-e-saleeb hay
tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

very nice nazm, Ali_

thanks for sharing.
whose is it?

best,
Dushwari

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

khaak ho jaein gaay usko khabar honay tuk;
bahut aala g.

2 Likes

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

one of ma fav and me ko sab pata hia :p

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

Beautiful ...

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

khoob..

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

Nice one:)

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

nice :k:

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

Bohat khoob Ali…:k:

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

V. Nice Ali.. :lajawab:

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

Nice:)

Re: tujhay kiya khabar tujhay kiya patta…

v nice

2 Likes