subh taa shaam sochtaa huuN maiN
sau tere naam sochtaa huuN maiN
(subh taa shaam : from morning to night)
ye jo ek taazah aag bhaRkii hai
is kaa anjaam sochtaa huuN maiN
saamne hai qalam bhii kaaGhaz bhii
aur paiGhaam sochtaa huuN maiN
(qalam : pen; paiGhaam : message)
tujh se is dil kaa jo ta’alluq hai
us kaa kuch naam sochtaa huuN maiN
aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochtaa huuN maiN
(shaam-e-firaaq : evening of loneliness)
kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zaraa jaam sochtaa huuN maiN
(Gham-e-zamaana : sufferings of the world)
ab ko’ii fikr hii nahiiN “Baqi”
bas teraa naam sochtaa huuN maiN