Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha

**Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha
Lamha Lamha Tera Khayaal Raha

Haath Jab Bhi UthaYE Dua kay Liay
Meray HontoN pay ek Sawaal raha

Jo Bhi Manga Teray Liay Manga
Apnay Daaman Ka Nah Kuch Khayal Raha

Tum Milay Zindagi Main Jan Aai
Dukh Raha Nah Koi Malaal Raha

Teri Yaaden jo chHoo Gaeen Mujh Ko
Phir to Her Lamha Kuch Khayaal Raha

Door Reh Ker Bhi Pass Rehtay Ho
Apnay Rishtay Ka Yeh Kamaal Raha**

Re: Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha

nicee :(

Re: Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha

**Door Reh Ker Bhi Pass Rehtay Ho
Apnay Rishtay Ka Yeh Kamaal Raha

**:k: **Rishtay ka nahi, mobile ka kamal hai yeh
**