**aadaab, dosto
Ghazal Ashraf Gill Sahab **ki pesh-e-Khidmat hai. mulaahizah farmaaiye aur apnii raae se navaaziye .
**Ghazal
tujh say nazar milaayay woh, jis ko nazar na chaahiyay.
'aql-o-khirad na chaahiyay, qalb-o-jigar na chaahiyay.
raah-e-hayaat mei’n agar, aayay Himaala, gham nahee’n.
mairay tumhaaray darmiyaa’n, kuchh bhi magar na chaahiyay.
jis ko tiray visaal ki , khwahish nahee’n, junoo’n nahee’n.
mujh ko woh dil na chaahiyay, mujh ko woh sir na chaahiyay.
tairy talaash mei’n mujhay, har ik safar qabool, par
guzra na tu jahaa’n say, woh, raahguzar na chaahiyay.
jis ki bhi ho talab tujhay, yaad rahay usi ki bas
aa’nkhho’n mei’n aa’nkhhai’n Daal kar, dil mei’n utarna chaahiyay.
raah-e-junuu’n mei’n chaahiyay, sidq-o-safa, sava, magar
'ishq ki kaargaah mei’n, 'ilm-o-hunar na chaahiyay
maana khuluus-o-'ishq ki, koi mu’ayyan had nahee’n
phir bhi kisi kay pyaar mei’n, had say guzarna chaahiyay.
ik din to kaam aayaygi, ‘Ashraf’ tiray yeh aagahi
kal kay liyay sa’nbhaal rakhh, aaj agar na chaahiyay!!!
“Ashraf Gill”**