Aaina kyu na doon k tamasha kahain jisey
aisa kahan sey laaoo.n k tujh sa kahain jisey
hasrat nay la rakha teri bazm_e khayyal main
guldasta_e nigagh saweeda kahain jisey
phonka hay kis nay gosh_e mohabbat main ay Khuda!
afson_e intazaar, tamanna kahain jisey
sar per hojoom dard_e ghareebi sey daaleye
wo aik musht_e khaak k sehra kahain jisey
hay chashm_e ter main hasrat_e deedar sey nihaa.n
shouq_e unaa.n gaskheeta_e darya kahain jisey
darkaar hay shaguftan gulhaay aish ko
subhu bahaar, panba_e meena kahain jisey
**
Ghalib bura na maan jo wa’iz bura kahey
aisa bhi koi hay k sab aacha kahain jisey**
![]()