koo-ba-koo phail gaee baat shanaasaaee kee
us ne Khushbuu kee tarah meri paziraai kee
**kaise kah doon kay mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswaae kee
woh kahin bhee gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yehee baat hai achchhi mere harajaai kee
**
teraa pahalu tere dil kee tarah abad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaai kee
us ne jalati hui peshaani pe jo haath rakhaa
ruh tak aa gai taasir masihaai kee
Kaise keh doon kay mujhe chhor diya hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai ruswaii ki.....
Its one of my fav. ghazal, may Allahjee grant Parveen Shakir
Jannatul Firdoos, ameen. As a modern Urdu poet, she really
knew how to recite her ghazals in very delicate way.....
Uss nay jootaY say ik roz jo pazeerayee kee:blush:
Dil maiN hasrat na rahi shanaasaayee kee
Cheen-O-Japan kee jangouN ka mazaa aataa hay:shikari:
Jub zubaaN chalti hay anthakk meri hamsaayee kee:bukbuk:
**Hosh maiN aatay hee chal daita hay sokan kee taraf
Buss yehi baat buri hay meraY harjaayee kee!!!
** Main nay becha thaa paRrosi ka churaa kar teetar!
Fees School maiN mujhay dainee thee Bhai kee!
Buss yehi kuch hay yahaaN ahl-e-siyaasat ka tareeq!!
Fatiha daada kee, dukaan hay halwaayee kee!