Tujh ko ruswa na kiya....

Justujoo jis ki thee us ko tu na paaya hum ne
Is bahaanay se magar dekh lee duniya hum ne

Tujh ko ruswa na kiya khud bhi pasheeman na huwe
Ishq ki rasm ko istarah se nibhaaya hum ne

Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne

Ay ‘Ada’ sunaayain bhi tu kya haal apna
Umer ka lamba safar tay kiya tanha hum ne …

Re: Tujh ko ruswa na kiya....

Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne

ziada khawaab dekhna acha nahin hota

Re: Tujh ko ruswa na kiya....

Umrao Jaan kii yeh Ghazal jise mere Ustaad, Dr. Shahryaar, ne likhii thii...kia hii zabardast Ghazal hai. har misr'a laa jawaab, har she'r be_misaal! :)

isii movie kii ek aur Ghazal kaa yeh she'r mujhe bahot pasand hai:
**
na jiskii shakl hai koii, na jiskaa naam hai koii
ik aisii shai kaa kiuN hameN azal se intizaar hai?**

Re: Tujh ko ruswa na kiya…

Tujh ko ruswa na kiya khud bhi pasheeman na huwe
***Ishq ki rasm ko istarah se nibhaaya hum ne

:k:


jis se muhabbat ki jae, usse ruswa nahin karte. Pakistaniyon ko Pakistan se muhabbat nahin rahi

Re: Tujh ko ruswa na kiya…

Bhai waah…bhot shandar!

Re: Tujh ko ruswa na kiya…

:k: