Justujoo jis ki thee us ko tu na paaya hum ne
Is bahaanay se magar dekh lee duniya hum ne
Tujh ko ruswa na kiya khud bhi pasheeman na huwe
Ishq ki rasm ko istarah se nibhaaya hum ne
Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne
Ay ‘Ada’ sunaayain bhi tu kya haal apna
Umer ka lamba safar tay kiya tanha hum ne …
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
Wah... ASHA has done Magic to it :)
system
3
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
very nice :k:
Amal
4
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
bohat umda Arif:k:…thanx a lot 
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne
hum soch rahe the k ye kuch suni suni hai, to ye umrao jaan se hai shayd; gud shud
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
very nice :-)
Re: < Tujh ko ruswa na kiya >
bohat achay :k: