tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kaya maloom

tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kaya maloom
terey chehray ke ye saada se achootay naqoosh
mere takhayul ko kaya rang ata kartay hain
teri zulfain, teri ankhain, teray aariz, teray hont
kaisi anjaan si masoom khata kartay hain
jalwat-e-bazm ho ya khalwat-e-tanhai ho
tera paikar meri ankhon main ubhar aata hai
koi saát ho, koi fikar ho koi mahool
mujh ko har simt tera husn nazar ata hai
chaltay chaltay jo qadam aap thithak jatay hain
sochta hoon kahin to nay pukara to nahin
gum si ho jatin hain nazrain to khayal aata hai
is main pinhan teri ankhon ka ishara to nahin
dhoop main saaya bhi hota hai garaizan jis dam
teri zulfain meray shanon pe bikhar jatin hain
thak ke jab sir kisi pathar pe tika daita hoon
teri banhain mairi gardan main utar aati hain
ankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai
sar-e-baleen koi baitha hai baday payar ke saath
meray bikhray huway, uljhay huay baloon main koi
ungliyaan phairta jata hai baday payar ke saath

kis ko maloom meray khwaabon ki tabeer hai kaya
kaun janay ke meray gham ki haqeeqat kaya hai
main samajh loon bhi agar isko muhabat ka junoon
mujh ko is ishq-e-junoon khaiz say nisbat kaya hai

tujh ko maloom nahin, tujh ko na ho ga maloom
teray chehray ke ye sada se achotay naqoosh

Re: tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kaya maloom

teri zulfain meray shanon pe bikhar jatin hain
thak ke jab sir kisi pathar pe tika daita hoon
teri banhain mairi gardan main utar aati hain
ankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai

:k: kool rashid bhaiii keep sharing :slight_smile:

Re: tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kaya maloom

:k:

Hi,

Re: tujh ko maloom nahin, tujh ko bhala kaya maloom

Very Nice.