~~~Tujh ko maloom nahien~~~

http://www.gupistan.com/gallery/1/tujjhko.gif


mairay dill mairay mussafir

tujh ko maloom nahie tujh ko bhalla kya maloom

tayray chehray kay yeh saada say nakoosh

mairay takkayyul ko kya rang ataa kartay hain

tayree zulfain tayree aankhain tayray aariz tayray hont

kaisee anjaan masoom see khataa kartay hain

khalwatay bazm hoo yaa khalwatay tanhai hoo

tayra paykar mairee nazroon main ubhar aata hai

koe saath ho , koe fikkar, koe mahool

mujh ko harr simmat tayra hussan nazar aata hai

chaltay chaltay jo kadam aap thithak jatay hain

soochta hoon keheen tuu nay pukara to nahien

gumm see hoo jate hain nazrain to khayyal aata hai

iss main pinhaan tayree aankhoon kaa isthara to nahien

dhoop main saya bhee hota hai gurayzaan jiss daam

tayree zulfain mairay shaanoon peh bikhar jate hain

thaak kay jaab sir kisse patha peh tikka dayta hoon

tayree banhain mairee gardan main uttar aatee hain

aankh lagtee hai to dill ko yeh gumaan hota hai

saray baleen koe baitha hai barray piyar kay saath

mairay bikhray hoay uljhay hoay baloon main koe

ungliyaan phayrta hai barray piyyar kay saath

apni deewangi par hansta hoon main

aur apnay khayalaat main khoo jata hoon

tujh ko apnanay kee himmat hai naa khoo janay kaa gham

kabhi hanstay hoay kabhi rootay hoay soo jata hoon

kisse ko maloom hai mairee khawaboon kee tabeer kya hai

kon janay mairay gham kee hakeekat kya hai

main samjh loon bhee agar iss ko mohabbat kaa junoon

tujh ko iss ishqay janoon khaiz say nisbat kya hai

tujh ko maloom nahien tujh ko naa hoo gaa maloom

          " Himmayat Ali shair" 

mairay dill mairay mussafir

Amazing - it’s simply amazing!!! And this
nazm is surely going to creat some serious
problems to all the contenders for Nazm of
the Month title!!! Anyway Akif,
thanx very much for such a beautiful piece

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


MeiN pal do pal ka shaaer hooN…

thank you so much amal bhai…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

khair daikhoo kya hota hai.. thanks again.. aap kee himmat afzaee kaa shukriya..


mairay dill mairay mussafir

wasay itni bhanjio aur bhatijo ke uncle ko
huwa kya

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

jus kidding
gazal is so nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~

Very nice akif bhai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

hmmmmmmm…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

boht khoob, amal kay sath hamaree bhi wishes app kay sath hein.
chanda ka way of reply boht acha hay.


lafzoon ko itamad ka lahja bhi chahey
zikrey saher baja hay yaqeeney saher bhi chahaey


[quote]
**kon janay mairay gham kee hakeekat kya hai
main samjh loon bhee agar iss ko mohabbat kaa junoon

tujh ko iss ishqay janoon khaiz say nisbat kya hai
tujh ko maloom nahien tujh ko naa hoo gaa maloom

**
[/quote]

Unkle v nice


~kabi alwida na kahNa~

Akif bhai khair tu hai :)

CC... fairgh ho aaj kal haina :-D


As is a tale, so is life: not how long it is, but how good it is, is what matters. -- Seneca

very nice :)

this is beautiful!

bery Nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


~~~~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
~~~~*

Bohot khoooobsoorat selection hai aap ki...thanx for sharing this poem with us.


Khud piyaas ka sehra hooN magar dil ki yeh zid hai
Har dasht pe sawan ki tarha toot ke barsooN

this is very nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

shukriya chandoo.. thanks for the image..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

haan je khaireeyat he hai … and by the way its not ghazal its nazam and its aazaad.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

..
and thank u farwa too.. waisay yeh bhai kiss ko kaha hai…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/confused.gif

thank u too nikkammi jee..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir

shukriya… G T G , naik bittiya and … sehar jee..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir

shukriya .. firrak jee.. jasmeen aap kaa bhee shukirya.. daikhoo kya hota hai… aur haan… thank u sehar* too.. aur aap kaa bhee shukriya armughal bhai..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir