In udaas lamhoon mein kami shah ka, is nazm mein kehna hai ke… ‘Abhi hai wakt muthi mein’ aur yehi baat’ bicharte dinoo ki yaseyyat kam karne ko bahut hai…
Is se pehle ke mutthi khule aur wakt maazi mein badal jaye, is nazm se istifaada karte hain… Nazm ka unwaan hai ‘Tujh bin zaat adhoori hai’…**
Tumhari aas ke gamloo mein rakhe phool murjhaane lage hain
Judaee dhoop lagti hai bahut hi talk chubhti si
December June lagta hai
Kisi ke naam ki ghanti baje mujh ko tumhara phone lagta hai
Tumhare laut aane tak na jane ki qadar lambi udaasi
Aankh ke bistar mein chup ke raat likheygi
Abhi tu phir bhi baqi hai koi sapna
Tumhare lams ke zinda warq per
Tumhari khushboyein zinda hain
Phooloon ke badam mein
Magar aisa na ho ke khushboyein be-chehargi pehnain
Kaheen aisa na ho ke phool jal jayein
Kisi sapne ke bhujte hi
Tumhara lams mar jaye
Gulaboon ke badan mein zang lag jaye
Kaheen aisa na ho Janaan !
Ana ki surkh tehni per koi talwaar ugh aaye
Tumhare aur mere darmeyan deewar ugh aye
Kahen aisa na ho ke soch ki khirki mein koi weham aa bethay
Mein is takmeel ke adhe safar mein hi na marjaoon
Mausam jo adhoora hai, adhoora hi na reh jaye
Abhi tu aankh ki mashal mujhe rasta dikhati hai
Abhi tu aaena chehra dikhata hai
Saraam si hi sahi janaan yeh rasta pair ke neeche
Abhi tu aas likhta hai
Abhi hai wakt mutthi mein
Agarche rait ki maanind phisalta ja raha hai per
Tumahre laut aane tak sambhalonga koi lamha
Yeh sara wakt girne se
Mere hathoon se behne se
Zara aik lamha pehle tak
Agar tum laut aao tu
Agar tum laut aoo tu meri takmeel hojaye …*