Tuhmay jana ijazat hai

Tuhmay jana ijazat hai koi bhe raasta chun lo
Hamary muntazir tehro ya hum ko alvida keh do
Tumhay jana ijazat hai,
Hamary paooN main tu waqt ke zanjeer lipti hai
Qabal iss k k thak jao hamary saath chal k tum
Muhabbat ke takhawat tum ko hum se bad-gumaN kar day
Qabal iss k k har ik wapsi ke raah kho jaye
Jo socha bhe nahi hum ne who kal ko ho jaye
Tumhay jana ijazat hai koi bhe faisala kar lo
Hamry muntazir tehro ya hum ko alvida keh do
Hamara tum se wada hai, sada tumahri yaad ko
dil k dareechay main youNhi abad rakhyNgay
Tumhay hum yaad rakhaiNgay
Tumhay jana ijazat hai
Tum apnay hosloN main jab thakawat see kabhi paoo
Kisi pyary se mukRay ke haseeN ankhoN main kho jao
Ijazat hai tumhay jana agar uss pal jo tum chaho
Yeh faisla kar lo
Hamry muntazir tehro ya hum ko alvida keh do

Re: Tuhmay jana ijazat hai

:k:
bohot Zabardast ASA,
.
.
.
my fav one…

Re: Tuhmay jana ijazat hai

:k:

Re: Tuhmay jana ijazat hai

Buhat acha :k:

Re: Tuhmay jana ijazat hai

Beautiful… :flower1:

Re: Tuhmay jana ijazat hai

beautiful :k:

Re: Tuhmay jana ijazat hai

Zabardast ........... fantastic

Re: Tuhmay jana ijazat hai

Hamary paooN main tu waqt ke zanjeer lipti hai
it,s really good wasy ya ghazel hey ya nazam jo bhe both achi yahey
zaberdast

Re: Tuhmay jana ijazat hai

nice..thanx 4 sharing dear

Re: Tuhmay jana ijazat hai

Thanks every1 for liking... :)