tu yaad rahegaa hameain han yaad rahegaa

us shaam vo ruKhsat kaa samaan yaad rahegaa
vo shahar vo kuchaa vo makaan yaad rahegaa

vo tees k ubhari thi idhar yaad rahegi
vo dard ke uthaa thaa yahaan yaad rahegaa

ham shauq ke shole ki lapak bhul jaayenge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa

kuch mir ke abyaat the kuch faiz ke misray
ik dard kaa thaa jin main bayaan yaad rahegaa

jan baKhsh si thii us gul_barg kii taraavaat
vo lams-e-aziz-e-do-jahaan yaad rahegaa

ham bhul sake hain na tujhe bhul sakenge
tu yaad rahegaa hamain haan yaad rahegaa

Re: tu yaad rahegaa hameain han yaad rahegaa

:k: