‘Faraz’ ab koe sauda koe janoon bhi nahin
magar qaraar se din kat rahe hon yuun bhi nahin
lub-o-dahan bhi milaa guftaguu kaa fun bhi milaa
magar jo dil pe guzaratii hai kah sakun bhi nahin
meri zuban kee luknat se bud gumaan na ho
jo tuu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin
‘Faraz’ jaise koi diyaa turbat-e-havaa chaahe hai
tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahin