Tu ne zakhum dho daley Charagaar main hairaan hoon...!!

**Zakhum bant-tey lamhay
ehtiaat lazim hey
Kanch dil key toro tu
Haath na lahoo karna…..!

Be qarar logon se
Ye bhi hum ne seekha hey
Saa-at-e-huzoori main
Ashk se wazoo karna…!

Khudh sey hum jo nikle tu
Tujh main dhal gaye aakhir
Ishq ney sikhaya hey
Aise main ko tu karna….!

Ye bhi kia saleeqa hey
Zabt lout jane ka
Zabt-e-ghum pe kehte hain
“Aankh ko namuu karna…!”

dil ke aik jazbe ney
aaj bhi nahi chora
usko dhondte rehna
uski justujoo karna…….!

Ye adab se hut kar
Wo jo sab se barh kar he
Ham se duniya daron sey
Uski guftugoo karna…..!

Kuch to dil dharkney ka
Aaj tum sabab kar do
Be qarar aankhon ko
Mere rubaroo karna….!

Tu ne zakhm dho daley
Chara gaar main hairaan hoon
Tujh ko kaisey aata hay
Zakhum ko rafoo karna….?**

Excellent Lamhay …:k:

thanks amabrbail!

bahot khoob Lamhay ji

Kuch to dil dharkney ka
Aaj tum sabab kar do
Be qarar aankhon ko
Mere rubaroo karna….!

:)

very nice :)

niceeee....

Very nice....

nice one lamhay..:)

Tu ne Karaylay dho daley
Khanay walay hairaan hain
Tujh ko kaisey aata hay …
Mazedaar Karaylay ko banana :confused:

Thanks Vivacious, Gkk, Fahrenheit, dilsay , koyal and azad !

:konfused: kabhi dhung ki baat bhi karlia karain … :hoonh:

achaaaaa app dhung bhi rakhti ho :eek:

nice :)