TU ne diwana banaya to me dewana bana

toony deewana banaya to men deewana bana.
ab mujhy hosh ki duniya main tamasha na bana.
**
**

**yousif-e-misr tamanna tery julwoN pe nisaar,
****meri bedaariyoN ko khuwab-e-zulekha na bana.
**

**ishq main deeda o dil sheesha o pemaana bana,
****jhoom kar beth gaey hum wahiN maekhana bana.
**

**zaoq-e-barbaadi-e-dil ko bhi na kar too barbaad,
****dil ki ujree hoi bigree hoi duniya na bana.
**

**ye tamanna he k azaad-e-tamanna hi rahoN,
****dil-e-mayoos ko manoos-e-tamanna na bana.
**

**nigah-e-naaz se poocheN gy kisi din ye zaheen,
****toony kiya kiya na banaya koi kiya kiya na bana
**