[thumb=H]sad%20pic%20of%20poetry4535_4167436.JPG[/thumb]
**
Is ko Kho kay Kismaat bhi haath Maal gaye Jaisay
Hijar ki Jo Talkhi thee khoon main Ghul gaye Jaisay
Zindagi kay Melay main Tujh say milna chaha tu
Khuwab Tooth Jata hai Ankh Khul gaye Jaisay
Khwahishoon kay Sholoon nay Khudh main Jalna chaha tu
Moom Ghul gaya Jaisay, Zaat Jal gaye Jaisay
In Larazti Palkoon say Yunh Gira Koi Ansoo
Ujlay Ujlay Phooloon ki Shakh Hil gaye Jaisay
Iss nay Aisay Dekha tha Waqt Thum Gaya Jaisay
Iss nay Saath chorha Tu Shaam Dhal Gaye
Jaisay
Main Tu Chup Yunh rehti hoon Lajawab Kardoon Gi
Aur Woh Muskuraata hai Baat Tal Gaye
Jaisay
Aaj Tu Sehar Kardoo Meray Dil Ki Basti main
Aaj Yunh na Janay do Raat Kal Gaye Jaisay
Aaj Tujh Ko dekha Tu Yunh Laga Main Zinda Hoon
Aik Jo Saans Khodi Thee, Aaj Mil Gaye hoo Jaisay
Tu nay Kaisay Kardali thee Raigaan Meri Chahaat
Meri Pehli Khwahish Thee, Dil Main RuL Gaye Ho Jaisay…!!!
**