tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

*mujhy be-khudi ki hai aa'rzoo mujay qurbtoN ka khumar day* *meray aa'ng aa'ng maiN yuuN uter muj maiN khud ko utaar day*

tu jo puur puur maiN hai bus ga’yaa tu doori’ooN ka jawaz kia
meri zindghi meray paas aa meri be-kali ko sanwaar day

meri zindghi pe muheet hain wohi wahshataiN wohi doo’riaaN
maiN khiza’N raseda se shaam hooN mujay apny ruukh maiN bahar day

meri bebasi hia baja magar meray shoaq ka bhi hisaab kar
maiN see’ha naseeb jo hooN agar mera naseeb bhi sanwar day

hai nazar nazar maiN teri justaju tu meri wafa ki hai aa’broo
kabhi yuuN bhi ho meray roo-broo mujay jaan se he guzar day

mujhay is tarha se tu yaad aa teri yaad ka gumaa’N na ho
tu meray khay’al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

Re: tu meray khay’al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

very nice :k:

Re: tu meray khay’al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

ap abhi taak jaag rahya :p..wesy kis ka burqa pahna huwa :stuck_out_tongue:

Re: tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

bahot hi dilkash. wah ji...mazaa aa gaya! :)

Re: tu meray khay’al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

:k: V nice Koyal

Re: tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

Very nice..

Re: tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

Bohat he Khoobsorat Ghazal hai............
:)

Re: tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

Ghazal to saari hi zabardast hey, lekin ^ ye aashaar ziaada pasand aey. Thanx for sharing K*oyal* :)

Re: tu meray khay'al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

zabardast :)

Re: tu meray khay’al maiN yuuN sama mera haraf haraf nikhaar day

bohat khoob
:k::k::k: