Tu mera naam

Tu mera naam na poocha kar
Main teri zaat ka hissa hoon
Main teri soch main shamil hoon
Main teri neend ka qissa hoon
Main terey khwab ka haasil hoon
Main teri yaad ka mehwar hoon
Main teri saans ka jhonka hoon
Tu manzar, main pas manzar hoon
Main lamha hoon, main jazba hoon
Jazbey ka koi naam nahi
Tu mera naam na poocha kar

Re: Tu mera naam

bohat hi clingy banda lag raha hai :hmmm:

Re: Tu mera naam

ya mohabbat mai majnov:snooty:

Re: Tu mera naam

harkatain to chipko jaisi hain

Re: Tu mera naam

nazariye nazariye ke baat hai :snooty:

Re: Tu mera naam

lol chshma bhol kar again hian. jabhi nazariya bhi sahi nazar aarha hai apko. :D

Re: Tu mera naam

chashmay pehne mere dushman :zobo:

Re: Tu mera naam

hamray pass time nahi chshmay pehnay ka

Re: Tu mera naam

lensm ley lijiye:snooty:

Re: Tu mera naam

woh to dushmano ko lainay ki zaroorat hia. me to u k frand hon.

Re: Tu mera naam

kaunse frnd :emmy:

Re: Tu mera naam

dost dost na raha :teary2:

Re: Tu mera naam

zamana he aisa hai :smooth:

Re: Tu mera naam

Wesay seriously naam kya hai tumhara?

Re: Tu mera naam

naam jaan ker bhi ager usne yi puch lia to :5:
LELA LARKI HY YA LARKA