Kisi gulaab ko thehni se tor kar bhi nahee
Subak kalaee mein gajray kabhi pehantay huwe
Gulaab hathoon pe mehndi kabhi lagatay huwe
Sufaid doodheya aanchal ko zard rangtay huwe
Chooreyaan pehantay huwe
Chamaktay maathay pe bindiya sajaatay huwe
Sanwar kar dair tak aaenay ko tak’tay huwe
Tu kya tumhein mein kabhi yaad hi nahee aaya …
Kisi kabootar-e-gardaan ko dekh kar bhi nahee
Kabhi diya kisi dargah mein jalaatay huwe
Lachakti shaakh pe pehla gulaab lagatay huwe
Kabhi yunhi kisi makhsoos dhun ko suntay huwe
Kabhi kabhi yunhi kitaab partay huwe
Barastay abar mein chatt per kabhi bheegtay huwe
Kisi khayal mein bethay se uth kar achanak chaltay huwe
Kabhi raat ko uth kar thehaltay huwe
Akelay door tak khamoshi mein chaltay huwe
Kisi pahaar per tanha sambhal kar charhtay huwe
Utartay chaand ka maujoon mein aks parhtay huwe
Kabhi libaas pe koi khushboo lagaatay huwe
Khizaan mein sookhtay pattoon ka shour suntay huwe
Mittay huwe se darakhtoon pe naam parhtay huwe
Tu kya tumhein mein kabhi yaad hi nahee aaya …
Kisi darakht ke saaye mein tanha beth kar bhi nahee
Tu kya tumhein mein kabhi yaad hi nahee aaya …