- tu kahin bhi rahay -

tu kahin bhi rahay sar pay tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakeeron mein mera naam to hai

mujko tu apna bana ya na bana teri Khushi
tu zamaanay mein mere naam se badnaam to hai

mere hissay mein koi jaam na aaya, na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai

dekh kar log mujhay naam tera lete hein
is pay mein Khush huN muhabbat ka ye anjaam to hai

vo sitamgar hi sahi dekh k usako “Sabir”
shukr k is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Re: - tu kahin bhi rahay -

mujko tu apna bana ya na bana teri Khushi
tu zamaanay mein mere naam se badnaam to hai

vo sitamgar hi sahi dekh k usako "Sabir"
shukr k is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

waah bahut aala

Re: - tu kahin bhi rahay -

Nice One Aabla_Pa..:k:

Re: - tu kahin bhi rahay -

mujko tu apna bana ya na bana teri Khushi
tu zamaanay mein mere naam se badnaam to hai

:hinna:

Re: - tu kahin bhi rahay -

nice sharing abla-pa g :)