tu kaheen bhi rahey

Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !

Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai !

Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai !

Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai !

Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `Sabir’,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai !

Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !

  • Sabir Jalal Abadi

very nice! :slight_smile:
:k:

shayeri main badnaam ka lafz kuch kuch acha lagta hai, maujhe! :slight_smile:
as on the second shair above!

buhat khoob :k: