…
keh yeh daagh woh haiN jo saat behroN
ke paaniyoN se na dhul sakaiN ge
keh aik tere na maan-ne se
yeh shehar bhar ki imaaratoN pe
jo jalte bhujte huroof pehne
shikasta waa’day latak rahay haiN
na juR sakain ge, na chup sakain gay
hawa ke rastay mai uRne waale udaas pattay
na ruk sakay haiN na ruk sakaiN gay