Tu hi andaz bata dy DIL-E-betab hmain
Ham ko Khush rehny k Aadab kahan Atay hain?
Main to yak musht usy sonp don sub kuch lekin
Aik muthi men mery khawb kahan Atay hain?
Muddaton baad usy dekh k dil bhar Aya
Warna sehraaon mein sailab kahan Aty hain?
Meri by-dard nigaho’n mein agar bhoolay se
Neend Aey bhi to ab khaawb kahan Atey hain?
Tanha rehta hoon main din bhar Bhari duniya mein “Qateel”
Buray haalaat main ehbab kahaan Aatay hain?