Tu har aik bat pe hans deti hae
or main soch main par jata hon
ye teri sada wa masoom hansi
aankh ki bhool samaat ka fasoon
teri adaat tera andaaz na ho
be-takaloof teray honthon ki chatak
meri khush fahmi ka ijaaz na ho
main sarabon ko bhi dar-ya samjhon
tu faqat shooq ki parwaaz na ho
Tu har aik bat pe hans deti hae
or main soch main par jata hon
ye teri sada wa be-bank hansi
main jise khaab se tabeer karon
wo haqeeqat main koi raaz na ho
teray be-sakhta hansne ki aada
teri taanhahe ki awaaz na ho
main jis say husn-e-tabiaat jano
teray jazbaat ki ghamaaz na ho
Tu har aik bat pe hans deti hai
or main soch main par jata hon
Ye teri sada wa parkar hansi
main muhabbat k talb ka mara
tu faqaat husn-e-nazer baz na ho
ye na ho k main tu soimber jeeton
or teray kaser ka darbaz na ho
meri dunia meri hansti ka sukoon
kisi tufaan ka aghaaz na ho
( Ahmad Faraz )