tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

mujhay dii khabr teray shahar say idher a'nay wali hawa'oN nay kay bana lee'ay na'ey daa'ery teri dharkaNoo ki sadaa'ooN nay

gham-e-dahar nay meray ishq kay baal-o-par he nooch kay rakh de’ay
maiN u’raaN looN bhi tu kesay looN teri aarzo ki fiza’ooN maiN

na gaa’ee meri kabhi be-basi ye ajeeb haadsa muj se hai
wohi fa’slay teray shahar kay wohi bayri’aN meray paa’oN maiN

teri furqatoon ki udaas ruut mujhay lamha lamha lee’ay phiri
kabi meray dard ki dhoop maiN kabi teri yaad ki chaa’ooN maiN

tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar
wo tu mil gay’aa kisi aur ko jo aasar tha meri dua’ooN main

wo hai zindghi say bhi kuch hase’n maiN begair jis kay na jee sakoon
jo yahaN nahi tu “qateel” usay kabhi jaa milooN gha fizaa’ooN main

Re: tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

***tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar
wo tu mil gay'aa kisi aur ko jo aasar tha meri dua'ooN main

Bohat khoob


Re: tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

very nice......!

Re: tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

sooperb choice.

Re: tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

bohat aala ji

~Very deep & Very nice~

Re: tu hamesha muj maiN basa rahay maiN dua khuda se karooN magar

It’s Beautiful Shab-e-Hijar..:k:

thanks everyone :flower1:

Beautiful :) *

Beautiful Choice:)

*Beautiful sharing as always * *