tu hai ya tera saya hai
bhes judai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
khamoshi ka qufl para hai
chikh rahe hain khali kamre
sham se kitni tez hawa hai
darwaze sar phor rahe hain
kaun is ghar ko chor gaya hai
hichki thamti hi nahi ‘Nasir’
aj kisi ne yad kiya hai
Re: Tu hai ya tera saya hai
Nice........
**
hichki thamti hi nahi 'Nasir'
aj kisi ne yad kiya hai**
Re: Tu hai ya tera saya hai
hichki thamti hi nahi ‘Nasir’
aj kisi ne yad kiya hai
:hinna: Nasir Kazmi. Suna hai wo actress Rani ke ishq main mubtala the
Re: Tu hai ya tera saya hai
sunaa tu maen nai be yeahii hy :)