naa sawaal kaR naa jawaab maang ke mujhey zindagi ki kitaab meiN
ik baab bhi khushi ka mila nahi meiN aakhiR tujh ko sunaaoN kya!
tujhey kya khabaR merey hamsafar hey bisaat-e-jaaN dukhi kis qadar
dard hey bohat paR hey be-nishaaN tujhey zakhm apney dikhaaoN kya
jis ham-nawaa pe mujhey naaz tha wo to waqt ke saath hi badal gaya
jisey naam bhi meRa yaad nahi us pe haq meiN apna jataaoN kya
tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
laoh-e-jaaN pe ab kuch raqm nahi kya yaad rakhoN aur bhulaaoN kya!
meiN maraa nahi to jia bhi kya ke terey baad haal hey ajeeb sa
koi dekhey to us sey chupaaoN kya koi poochey to us ko bataaoN kya!
Daagh
2
bahot hi umda ghazal hai Nikami jee 
*tujhey kya khabaR merey hamsafar hey bisaat-e-jaaN dukhi kis qadar
dard hey bohat paR hey be-nishaaN tujhey zakhm apney dikhaaoN kya
jis ham-nawaa pe mujhey naaz tha wo to waqt ke saath hi badal gaya
jisey naam bhi meRa yaad nahi us pe haq meiN apna jataaoN kya
*
bahot khoob 

WiseGuy
4
tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
laoh-e-jaaN pe ab kuch raqm nahi kya yaad rakhoN aur bhulaaoN kya!
meiN maraa nahi to jia bhi kya ke terey baad haal hey ajeeb sa
koi dekhey to us sey chupaaoN kya koi poochey to us ko bataaoN kya!
BOhat Khoob Jano Jee. :k:
Thank you for sharing. 
Re: tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
Khabrdaar jo kisee ko kuch bataya :nono:
Nice ghazal Nikami jee :k:
bohat khoob :k:
Ps
ap kaha hotay hain ajkal
missing u sho much sachiii 
ullujii
8
Re: tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
wow wonderfull 
thanks Wg…aj kal ap kahan paiey jatey haiN ..:)zara asmaan se neechay uter aiey na thori dair k leay…
Re: Re: tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
sirf ap he sun lain ..ap ko kia bata sakti capo..
thanks 
thanks chando g
me tu yehi pe hoti ap kahan hotey 
thanks uluji ...jaanlawa and cutiepie...:)
Re: Re: Re: tu gaya to terey saath saath mera aetebaaR wafaa sey hi chala gaya
