Tu asmaan na tha aur na main sitara thee!!

Tu Asmaan na tha aur na main sitara thee
Tu aik kinara tu main doosara kinara thee

Woh abar bankay chupa leta meray sooraj ko
Ye baat meray muqaddar ko kab gawara thee

Main usko aur zamanay ko dosh kia deti
Judae tu meri taqdeer ka ishara thee

Aik aisa daur bhi aya tha zindagi main meri
kay uskay hotay huay bhi main beysahara thee

Jo bo rahi hai adawaat k beejh zehano main
woh shaksiyaat tu mohabbat ka aaina thee

woh janta tha main uss say bichar hi jaongi
ye baat mujh pay bhi pehlay say ashkara thee!


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

[This message has been edited by Lamhay (edited June 07, 2002).]

nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


—~—Maria—~—
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~

nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be

Rude Boyz Rulez

thanks speed master and maheen!

Zabardast Lamhay jee !

Hum tu pehchaan hi na sakay kyo ke aap ne image badal li naa, and I was thinking ke how is this possible ke kisi aur ko same id milgaee... ! Hojati tu hum kahaan dhoondtay apni Lamhay ko.. !

Chehray badal badal kar mujhe mil rahe hain log
Itna bura salook meri saadgi ke saath !!!


Raiza raiza humko hona hoga maati ke tallay
Jaagay hain tu sona hoga maati ke tallay
Sun lo sun sako tou tum ko aansoo pukaaray...!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

Nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï

acha arif ji image hi badali hai main nay
shakal nahin badali

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

pareshaan na huay hum yahin hain jehan ap hain

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

bahut shukriya bholi bhali beheniya

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

and chand ji!


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

Woh abar bankay chupa leta meray sooraj ko
Ye baat meray muqaddar ko kab gawara thee

wah be_had pasand aayi yeh ghazal
aur mundarja bala sher tou ghazab dhaa geyaa.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

thanks 4 sharin


(¯`~!‹‹®››…Hâm…IbŦ £dâ_ë_I§Ħq…mëiñ…Añjaam…HöĞeye…‹®›!~´¯)™ ©²°°²


“¨¬¯¯³ª¯¬³ª“.¥È báäžží ̧µQ KÌ Báäž¶ hãí jÔ ÇhãhÖ Lægäà dÔ Œãr kÊ“§¬Ã“°²“¨¯­¯–“

Buhat achee ghazal hai Lamhay

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


~pochteY ho wo kidheR gaya
daRd buN kaR
meRay dil maiN uteR gaya~

Hmmm too good

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif

Lamhay ,,is this your own??

bahut shukriya marez-e-ishq ji , capricorn, nikami jano ,nayyabji and gtg behna!

well gtg sis this is not mine! and the poet is anonymous.


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

Kya baat hai Lamhay ji, dekh lejeyay kitne kadardaan hain aap ke, aur humein kaha ja raha thaa… !

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif


Raiza raiza humko hona hoga maati ke tallay
Jaagay hain tu sona hoga maati ke tallay
Sun lo sun sako tou tum ko aansoo pukaaray…!

bhoot achi nazm hai
thanx


I'M BACK AGAIN

Ufff!
Aisi koi baat nahin ap ki ghalat fehmi hai
Hum apni pasandida poems share kartay hain aur yahan k guppies hamari poems ko pasand karaien tu reply kartay hain thats it!!

THanks Heart Hacker!!Ooooops i heard abt computer hacker …strange man !


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

WooW! Very very nice!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


Is it progress when a cannibal uses a knife and fork?