Tu aina hay dhoondla apna ap maiN tujj maiN daik sakti nahiN
Tu piyar hay kisi or ka us maiN apna hisa maiN bana sakti nahiN!
Jo hath likhtaiN haiN tehriraiN aksar kisi kay naam
Un hathooN ko thaam kay safar maiN kaar nahiN sakti
Jo ankhaiN dhoondhtiN hooN kisi or ko haar jaga haar taraf
Un maiN maiN apna ap dhoond nahiN sakti
SochooN pay tumhari maiN pehra bitha sakti nahiN
AnkhooN ko apni maiN behnay say bhi rook sakti nahiN
Ya shamah jo jaal gai hay kisi or kay hathooN
usay apni ahooN say boojha maiN sakti nahiN
Wo ik safar jo shooro ho chooka hay ay hum dhum meray
Beech safar kay maiN rasta rook sakti nahiN!
Ik asool hay na wo kiya kahiya us ko jo kisi or ka ho usay apna maiN bana sakti nahiN….
Nice :k:
Beautiful … :k: and thanks for sharing Subha
very nice… :k:
very nice swera :~)
:)