Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

**Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai………..
** Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai….

Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai…….
Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai

Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay…………
Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai………………

Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni……….
Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai………..

Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main……
Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai……..

Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni…………
Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai

Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab…
Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai….

**Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat….
** Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai…..

Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main.
Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai…
**
**Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin……
Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai…….
**
**Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main “Ahl-e-WAFA”….
Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha….

Re: Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Good one Dania …:k:

Re: Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Nice :lajawab:

Re: Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

Bohat Khoob Dania..:k:

Re: Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

very nice Dania

Re: Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai

:k: